Saale Bistar

11 09 2011

Kai saalon se
Inhi haathon se
Tujhe har shaam lagaaya hai

Bas, ek baar,
Saale bistar
Khud bhi lag ja zara!
Odh le chaadar, aur
Khud bhi lag ja zara!

Tere chakkar mein mummy ne sad kar manji pe sulaaya hai

Saale bistar, khud bhi lag ja zara!

Takiye ke gilaaf (oo)
Bistar ke hijaab (oo)
Arrey ganda ho ya saaf! (oo)
Sar na kar kharaaaab!!!!

Bas ek baar,
Saale bistar
Khud bhi lag ja zaraaa!








Follow

Get every new post delivered to your Inbox.