Ghada, ghade mein kankar,
Kankaron mein paani main.
Pal bhar ki hai zindagi,
Phir na pyaas rahegi na main.
Gagan, gagan mein baadal,
Baadalon mein ek boond main.
Ik baarish si hai zindagi,
Na saavan rahega na main.
Chehre, chehron pe nindiya
Neend mein ek sapna mein,
Bechein neend si hai zindagi,
Na sapna rahega na main.
Kadam, kadmon mein mitti
Mitti ka ik kan main.
Hava ke jhonke si hai zindagi,
Na dhool rahegi na main.
Khayaal, khayaalom mein chaandni
Chanda pe ik daag main.
Ik punam ki hai zindagi
Bas amaavas rahegi, aur main.